Archive for February, 2008

Band Taale

February 8, 2008

Jo suna karte the mere baawle pan ko
mere dost wo bas ab saaki ban kar raeh gaye
Khud-b-khud bol uth.ta tha ye man
par ab koi taala hai us par
jo sharab k bina nahi khulta
tere pyar mein nashemaan pada rehta tha din bhar
kai saaki badal chuka hun
saikdon maikhaane hi
par tere pyar sa suroor nahi ghulta